Republic Day2013 Songs




Aye Mere Pyaare Watan Lyrics

Aye mere pyaare watan, aye mere bichhade chaman
Tujh pe dil qurabaan
Tu hi merii aarazu,
Tu hi merii aabaru
Tu hi merii jaan

[Tere daaman se jo aae un havaaon ko salaam
chuum lun main us zubaan ko jisape aae teraa naam ] 2
Sabase pyaarii subah teri
Sabase rangiin terii shaam
Tujh pe dil qurabaan …

[Maan kaa dil banake kabhii siine se lag jaataa hai tuu
aur kabhii nanhiin sii betii ban ke yaad aataa hai tuu] – 2
Jitanaa yaad aataa hai mujhako
Utanaa tadapaataa hai tuu
Tujh pe dil qurabaan

[Chhod kar teri zamin ko duur aa pahunche hain ham
phir bhii hai ye hii tamannaa tere zarron kii qasam ]- 2
Hum jahaan paidaa hue
us jagah pe hi nikale dam

Tujh pe dil qurabaan

Chodo Kal Ki Baatein Lyrics

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani
Hum hindustani, hum hindustani

Aaj puraani zanjeeron ko tod chuke hain
Kya dekhe us manzil ko jo chhod chuke hain
Chaand ke dar pe jaa pahuncha hai aaj zamaana
Naye jagat se hum bhi naata jod chuke hain
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani
Hum hindustani

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani
Hum hindustani, hum hindustani

Aao mehnat ko apna imaan banaaye
Apne haathon ko apna bhagwaan banaaye
Ram ki is dharti ko gautam ki bhoomi ko
Sapnon se bhi pyaara hindustan banaaye
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani
Hum hindustani

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani
Hum hindustani, hum hindustani

Har zarra hai moti, aankh uthaakar dekho
Maati mein sona hai, haath badhaakar dekho
Sone ki yeh ganga hai, chaandi ki yamuna
Chaaho to patthar pe dhaan ugaakar dekho
Naya khoon hai, nayi umangein, ab hai nayi jawaani
Hum hindustani, hum hindustani

Chhodo kal ki baatein, kal ki baat puraani
Naye daur mein likhenge milkar nayi kahaani

Hum hindustani, hum Hindustani

Saare Jahaan Se Achha Lyrics

sare jahan se accha hindostan hamara
hum bulbulain hai is ki, yeh gulsitan hamara

ghurbat men hon agar ham, rahta hai dil vatan men
samjho vahin hamen bhi, dil hain jahan hamara

parbat voh sab se uncha, hamsaya asman ka
voh santari hamara, voh pasban hamara

godi men khelti hain is ki hazaron nadiya
gulshan hai jin ke dam se, rashk-e-janan hamara

aye ab, raud, ganga, voh din hen yad tujhko
utara tere kinare, jab karvan hamara

maz’hab nahin sikhata apas men bayr rakhna
hindvi hai ham, vatan hai hindostan hamara

yunan-o-misr-o-roma, sab mil gaye jahan se
ab tak magar hai baqi, nam-o-nishan hamara

kuch bat hai keh hasti, milati nahin hamari
sadiyon raha hai dushman, daur-e-zaman hamara

iqbal ko’i meharam, apna nahin jahan men
m’alum kya kisi ko, dard-e-nihan hamara

sare jahan se accha hindostan hamara

ham bulbulain hai is ki, yeh gulsitan hamara

Leave a Comment