Durga Stuti

Durga Stuti

Miti Ka Tan Huaa Pavitra, Ganga Ke Asnan Se |
Ant Karan Ho Jaye Pavitra, Jagadambe Ke Dhyan Se ||
Sarve Mangal Mangalye, Shive Sarvarth Sadhike |
Sharanye Trambake Gauri, Narayani Namo Stute ||
Shakti Shakti Do Mujhe, Karoon Tumhara Dhyan |
Path Nirvignya Ho Tera, Mera Ho Kalyan ||
Hridya Sinhasan Par Aa, Betho Meri Maa |
Suno Vinay Mam Din Ki, Jag Janani Vardan ||
Sundar Deepak Ghee Bhara, Karoon Aaj Tayaar |
Gyan Ujala Maa Karo, Metto Moh Andhkaar ||
Chandra Surya Ki Roshni, Chamke Chaman Akhand |
Sab Mein Vyapak Tej Hai, Jwala Ka Prachand ||
Jwala Jag Janani Meri, Raksha Karo Humesh |
Dur Karo Maa Ambike, Mere Sabhi Kalesh ||
Shradha Aur Vishwas Se, Teri Jyot Jalaoon |
Tera Hi Hai Aashra, Tere Hi Gun Gaoon ||
Teri Adhabhut Gaat Ko, Padhoon Mein Nischay Dhar |
Sakshat Darshan Karoon, Tere Jagat Aadhar ||
Man Chanchal Se Baat Ke, Samay Jo Aogun Hoye |
Dati Apni Daya Se, Dhyan Na Dena Koye ||
Main Anjan Malin Man, Na Jano Koi Rit |
At Pat Vani Ko Hi Maa, Samjho Meri Prit ||
Chaman Ke Aogun Bahot Hai, Karna Nahi Dhyan |
Sinhvahini Maa Ambike, Karo Mera Kalyan ||
Dhanya Dhanya Maa Ambike, Shakti Shiva Vishal |
Angh Angh Mein Rum Rahi, Dati Din Dayal ||

Leave a Comment